IQOO Neo 6 5G eSPORTS KA NAYA BOSS

IQOO Neo 6 5G India mein IQ Neo series ka pahla device launch Kiya gaya hai. Halanki yah smartphone China mein pahle hi launch ho chuka tha. Lekin India mein smartphone ko aaj ek shandar takrir mein announce Kiya Gaya. Is device ke Indian aur Chinese variant mein specifications mein thoda bahut fark dekhne ko milta hai.

To doston Aaj ham baat karenge IQ Neo 6 smartphone ke bare mein. IQOO ke sabhi phonon ki tarah yeh device bhi ek gaming phone bataya ja raha hai.IQ Neo 6 k andar Snapdragon 870 processor chipset laga hua hai jisse ham umda Kasam ki performance ki ummid kar sakte hain.

IQOO NEO 6

Isse pehle ki ham aapko is device ki sari tafseel bata de ham yahan per sabse pahle iske price aur iske variants ke bare mein baat karna uchit samajhte hain. IQOO Neo 6 ka base variant 8GB 128 GB ka hai jiski kimat 29,999 hai. Is device ke 12 GB 256 GB variant ki kimat 33,999 Rakhi gai hai. 256 GB ki storage vakai mein badhiya kam aane wali hai.

IQOO Neo 6 mein 870 Snapdragon ka processor laga hua hai jisse ek damdaar performance yakini hai. IQ new 6 UFS 3.1 storage feature se read/write speed Kamal ki dekhne Ko mil sakti hai. Jiska matlab hai kam samay mein jyada data ka transfer badi aasani se ho sakta hai. IQ ke mutabik is chipset mein antutu per 740000 ka benchmark score set kiya hai. Yeh ek gaming phone hai jiska experience behtar banane ke liye ismein 4D tactile feedback feature bhi dekhne ko milta hai.

IQOO NEO 6 cHIPSET

Device ki 4700 mAh ki battery ko charge karne ke liye 80W ka fast charging support milta hai jo ki is Puri battery ko Matra 32 minut mein hi pura charge kar deta hai. IQOO company ke mutabik 80W ka charging solution 66W charging solution se kafi behtar hai.

Is device mein 6.6 inch FHD+ E4 Amoled Display hai jo 120Hz refresh rate ke sath dastiyab hai. Jiska matlab yah hai ki is phone ka screen experience bahut hi Kamal Ka Rahane wala hai. Umda sound quality ke liye phone mein dual speaker setup Mila hua hai.

Camera segment ki baat karen to is phone mein rear side mein triple camera setup laga hua hai jiska main Sensor 64 MP ka hai. Samsung GW1 sensor is phone k camera ko kamal ka banata hai. Isme ek shandar 8MP ka ultrawide camera aor ek 2MP macro camera bhi hai. Selfie k liye front side me 16MP ka camera mila hua hai.

IQOO NEO 6

IQOO Neo 6 ki sale aaj se hi shuru ho chuki hai. Yah phone Amazon per yad hai aur ismein kafi sare bank offers bhi mil rahe hain. Agar aap is Phone ko kharidne ke mood mein hai to aap ICICI Bank ke credit ya debit card per 3000 ka sidha discount pa sakte hain. Aap apna purana phone bhi exchange kar ismein thode bahut paise aur juta sakte hain. Yah phone do colors Cyber Range and Dark Nova me farokht ho raha hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *