4G smartphones under 15000

4G Smartphones under 15000 you don’t want to miss

Looking for 4G smartphones under 15000. Rs 15000 rupaye Tak ke mid range smartphone bahut hi interesting category ban gai hai. Yad rahe is price range mein aapko 5G smartphones bhi mil rahe hain. Lekin problem yah hai ki smartphone brands nadan logon se 5G tax vasul rahi hai. 5G services Desh mein kab aaye kon Jane. So abhi aap mid range me ek shandar 4G smartphone le sakte ho.

Yahan par desh ki acchi khasi public confusion mein pad jaati Hai kyonki wo is soch me pad jate hain k unko 4G smartphone Lena chahie ya namka 5G smartphone.

Agar aap ek powerful 4G smartphone ki Talash me hai to ham apki help zaroor karenge. ₹15000 ki price range mein bohat kamal k phone bhi maujud hain jinki specifications ek number ki hai.

Agar aapke liye ek 5G phone utna jyada matter nahin karta aur aap 4G category mein ek behtarin phone lena chahte Hain to ham Aaj aapke samne kuchh aise phone rakhenge jinki specifications dekhkar aapke hosh ud jayegi. Jo bhi phone ham yahan is article mein recommend karne ja rahe hain un sabhi per ham ne bhari research ki hai. Humne in sabhi Phones ko apni list mein kuchh khaas criteria ke tahat jagah di hai. Hamare sabhi phones me kam se kam 90 hertz ka refresh rate, 5000 mAh ki ek badi battery, 33W fast charging , 4GB ram 64GB storage, 50 camera megapixel camera set up hona hi chahiye.

1. Moto G 52 :Best among 4G smartphones under 15000

Ismein 6.6 inches ki pOLED is play hai. Yeh smartphone bahut hi thin aur lightweight hai jo dikhne mein kafi Sundar lagta hai. Motorola ke sabhi phones build quality mein bahut hi robust hote Hain. Ismein stock Android hota Hai jiski madad se clean UI ka experience bahut hi umda kisam ka hai. Ismein Qualcomm Snapdragon 680 ka processor Hai 5000 mAh ki battery hai aor 33w fast charging support b milta hai. 50 + 8 + 2 ka triple camera setup Hai jismein 8 megapixel ka camera ultrawide ka kam karta hai. 14449 me ye ek badhiya purchase ho sakta hai.

2. IQOO Z6 44W:

Fast charging , badi Storage basis per humne is Phone ko dusre number per Apne list mein jagah di Hai. 5000 mAh ki battery 44 watt fast charging ke support ke sath aati Hai. 4GB RAM hai aur 128gb ki storage hai jismein aap duniya bhar ka content jaise ki videos, photos, PDF aur bahut sara Mal jama karke rakh sakte hain. Display ki baat ki jaaye to 6.4 inch ka Amoled Display Hai aur in display fingerprint sensor bhi aata hai jo ki mujhe kafi pasand hai. To Rs 14499 mein in display fingerprint , Amoled screen aur ek badi storage aapke liye ek bahut badi deal ho sakti hai.

3. Redmi Note 11:

Is dhaansu phone mein bhi Qualcomm Snapdragon 680 ka processor hai. 6.43 inch ki Amoled Display hai jo ki ek bahut hi acchi baat hai. Iske base variant mein 6GB RAM aapko mil jata Hai iska matlab hai yah aur jyada performance dene wala hai. Phone ki Price ₹13999 hai. Is Phone ko humne is list mein isliye include kiya hai kyunki ismein 6GB Ram k sath sath ek Amoled Display hai. To is phone se kamal ki experience mil jayegi. Is phone mein Quad camera setup hai. 50 plus 8 plus 2 plus 2 jismein ultrawide camera included hai.

4. Realme Narzo 50: Performer in 4G smartphones under 15000

4G smartphones under 15000

Doston agar aapke liye gaming bahut important hai to agla phone apka Dil chura le Jayenge. Yeh wala phone aapke liye kamal ka performer ho sakta hai. Ham baat kar rahe hain Realme Narzo 50 ki jismein badi 6.6 inch FHD+ display 120 megahertz refresh rate ke sath milta hai. Ismein MediaTek Helio G 96 processor hai jo ek best performer hai. Halanki yah processor utna power efficient nahin ho sakta kyunki yeh 12nm technology per based hai. Lekin yah bahut powerful hai isliye iska antutu score 300000 se bhi upar aata hai jo ki SD 680 processor mein nahin milta. 50 megapixel ka triple AI camera setup ismein bhi maujud. Mazeed 5000 mAh ki battery 33W ki fast charging support k sath aati hai.

5. Oppo K10 ya Realme 9i :

4G smartphones under 15000

Ye dono phone specifications mein bahut similar hai. Dono hi kamal k 4G phone hai. Baki aap per depend karta hai ki aap oppo brand ko pasand karte hain ya fir Realme ka. Dono me Snapdragon 680 ka chipset laga hua hai. 6.59 inch IPS LCD Display. 5000 mAh battery 33 Watt Charging support k sath aati hai. 50 megapixel plus 2 plus 2 camera setup. 4GB 64GB Realme phone 12999 aapko mil jaega. Oppo K10 6 128 variant aapko 14999 mein milega. To agar aapko jyada storage variant ka phone chahiye, obviously aap oppo K10 ke sath jaye.

To ye kuch top performer phone they jinko hamne is list me include Kiya hai. Baki dosto final aap ka decision apna hona chahie kyunki aapki Jo requirement hai vah meri requirement se bilkul alag ho sakti hai. Mujhe yah lagta hai ki low quality 5G phone Se achcha ek hyperforming 4G phone lena batter hai kyunki abhi tak koi pata nahin hai ki India mein 5G services kab tak shuru hone ja rahi hai.Agar aapka budget 15000 hai to apko definitely in me se kisi ek phone k sath Jana chahiye. Ham sabhi phone ka best buying link aapko yahan per provide kara rahe hain aur agar aap in links ke upar click karke phone ko purchase karte Hain to hamen thoda bahut commission mil sakta hai.

Best TWS under 2000 in India

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *