Hadees Mubarak Status

Pyare Nabi K Anmol Hadees Mubarak Status Rakho

Assalamualaikum Dosto. Is post me hamne apke liye laye hain pyare nabi k anmol Hadees Mubarak Status laye hain. Dekho bhaiyo ham bohat se faltu kism k whatsapp status videos, ya phir images share karte hain. Kahi bar ye haram content hota hai aor is se hame jane anjane me gunah ka bhoj bhi uthana padta hai. Aap jitna koi haram content ko share kate ho utne zyada gunah apke hisse me likh diye jate hain. To aaj ham pyare nabi k anmol hadees mubarak whatsap status lagayen ge. Ya phir in images ko download karke apne social media acounts par laga kar neki ko aam karen. So pyare nabi k anmol hadees ko zyada se zyada logon tak phela kar Allah k han acha muqam payen. Islami Content K liye click karen

Pyare Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein Se jis Insan ne karja liya aur fir usko Ada karne ki koshish ki lekin Ada karne se pahle mar Gaya to main iska jimmedaar hun.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا میری امت میں سے جس انسان نے قرضہ لیا اور پھر اس کو ادا کرنے کی کوشش کی لیکن ادا کرنے سے پہلے مر گیا تو میں اس کا ذمہ دار ہوں۔

Jhooth Se badhkar koi aadat Rasulullah Sallallahu alaihi wasallam ke najdeek jyada nafrat o bugz wali na thi. Aap Sahaba ke bare mein kisi ke mutaliq iski khabar paate to aapka ravaiya iske bare mein badal jata. Hataki ki maloom ho jata ki isane tauba kar li.

جھوٹ سے بڑھ کر کوئی عادت رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے نزدیک زیادہ نفرت والی نہ تھی۔ آپ صحابہ کے بارے میں اس کی خبر پاتے ۔

Nabi Akram Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya.

Tum Jahan bhi Ho Allah se daro. Gunah ke bad ne ki karo beshak Negi gunah ko khatm kar deti hai.

Nabi Karim Sallallahu alaihi vasllam ne farmaya aise fitne bharpa honge. Ki inmein baithane wala khada hone wale se behtar hoga. Khada hone wala chalne wale se behtar hoga. Chalne wala daudne wale se behtar hoga. Agar koi dur Se bhi inki taraf jhank kar dekhe ga to vah ise bhi samet lenge.

Nabi Akram Sallallahu alaihi vasllam ne farmaya

Sabr vahi hai jo sadma ke shuru mein ho

Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

Quran Majeed mein 30 aayat wali ek Surat hai jo Apne tilawat karne wale ki use waqt Tak Sifarish karti rahegi jab tak ki uski bakhshish nahin Ho jaati. Vo Sura Sura mulk hai.

Teen Wasiyaten

Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya roze ki aadat dal kyunki koi aur kam iske barabar nahin. Hadees Mubarak

rasulullah Sallallahu alaihi wasallam ne fajar ke baad jab tak Suraj na nikale aur asar ke bad jab tak Suraj na doob jaaye namaz padhne se Mana farmae.

Bhook aor galat bayani ko ikatha na karen

qabar ke teen sawalat. Hadees

  • Tera rab kaun hai?
  • Tera din kya hai?
  • Tera Nabi kon hai ?

Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo koi Allah aur aakherat per Imaan rakhta Ho vah Apne mehman ki ijjat Karen. Hadees Mubarak

Dil Sakht kyon hota hai? Allah k zikr k siwa zyada guftagoo na karo kyonki Allah k zikr k bagair zyada kalam karna Dil ki sakhti ka bais hai. Aor sakht Dil aadmi Allah Tala se bohat door hota hai.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب انسان فوت ہو جائے تو اس کا عمل منقطع ہو جاتا ہے۔صدقہ جاریہ نفع بخش علم اور نیک اولاد جو اس کے لیے دعا کریں۔

تم لوگ اللہ کی عظمت کا ذکر کرتے ہو وہ عرش کے ارد گرد چکر لگاتے ہیں ان کی ایسی بنبناہٹ ہوتی ہے جیسے شہد کی مکھیوں کی بھنبھناہٹ وہ اپنے پڑھنے والے کا ذکر کرتے ہیں کیا تم نہیں چاہتے کہ اللہ تعالی کے دربار میں تمہارا ذکر ہوتا رہے۔

Nabi Karim Sallallahu alaihi vasllam ne farmaya aise fitne bharpa honge. Ki inmein baithane wala khada hone wale se behtar hoga. Khada hone wala chalne wale se behtar hoga. Chalne wala daudne wale se behtar hoga. Agar koi dur Se bhi inki taraf jhank kar dekhe ga to vah ise bhi samet lenge.

کسی نے سیدہ عائشہ رضی اللہ تعالی عنہا سے کہا اے ام المومنین اس مہینے کا چاند تو انتیس تاریخ کو کو نظر آگیا ہے۔انہوں نے کہا تمہیں اس پر تعجب کیوں ہو رہا ہے۔میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ جو روزے رکھے ان میں 30 ایام کی بنسبت 29 دن والے رمضان کے مہینے زیادہ تھے۔

Ae Allah main fikar, killat aur jillat Se Teri panah mangta hun. aur is baat Se Teri panah mangta Hun Ki main kisi per zulm Karun ya koi mujh per zulm Karen.

hadees mubarak

15 Strange Urdu Quotes you will not find on Internet

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *